The Elephant and The Rope
Dosto
na jane aap logo mein se yeh kahani kitni bar suni hogi. Lekin iss kahani ko
main phir se ek bar aap logoke samne dohrana chahta hoon. Yeh kahani ek bacche ki
hai jo hamesha sawal karta rehta tha. Ek din woh ladka kisi raste se gujar raha
tha, toh uska nazar achanak se ek haati ki taraf gaya jo kisi ne us haati ko
kisi rassi se band ke rakha tha. Phir haati ki taraf dekhne ke baad us bacche
ki maan mein kuch sawal aya.
Aur phir bacche ne waha pe khare kisi admi se pucha,
“Sir yeh jo haati hai isko kisi ne yaha pe band ke rakha hai, haati kahi jana
chahta hai lekin kahi jaa nahi pa raha
us rassi ki wase se. Aisa nahi ki haati ke andar taqat nahi hai aur aisa bhi nahi
ki haati bohot chota hai lekin phir bhi raasi ko kholne ki kousish nahi kar
raha, aisa kyu?” Toh us admi ne jawab diya “Yeh jo haati hai jab woh chota tha
tab usko aise he rassi se band ke rakha gaya tha. Tab woh bohot try karta tha
us rassi ko kholne ki lekin tab usme itna taqat nahi tha ki iss rassi ko khol
sake. Woh bohot jhor lagata tha lekin kabhi khol nahi pata. Tab haati ne yeh
soch liya ke main jitna bhi kyu na try karu main kabhi rassi ko khol nahi
paunga. Aur tab se haati ne kabhi bhi kholne ka try nahi kiya. Lekin aaj haati
ke pas itna taqat hai ki woh ek rassi toh kiya hazar rassiyan bhi ek sath thor sakta hai agar woh try kare toh”
Dosto aapka dimag bhi us haati ki tarah hai jo
bachpan se yeh sunta ah raha hai ki tu yeh kabhi nahi kar sakta! Aur kahi na
kahi apke dimag mein yeh stored ho gaya hai ki chahe kuch bhi karlo zindagi
mein aap kuch bhi nahi kar paoge. Toh mere dost let me tell you aisa kuch nahi
hai. Aap wohi karo jo apke interest mein hai. Jis kaam ko aap bina thake, bina
rukhe kar sakte ho. Chahe woh kitna bhi mushkil kyu na ho. Aap sirf ek he kaam pe focus karo jo apke interest mein hai. Phir dekhna safal hone se apko koi nahi rokh sakta hai yaha tak aap kudh bhi nahi.
bahut hi badhiya story kahi hai aapne , keep it up.. acchibaat.com
ReplyDelete